Hi Guys aaj main apko bataunga ki php website me song direct download code kaise lagate hain. Jisse apki website ke songs click karne par hi Direct download hoga. How to make direct song downloading website free.
Dosto jaisa ki maine apko kafi website ke baare me bataya or script bhi upload kiye. But aaj main apko is post me ek aisa code ke baare me bataunga jisse apki site ka song direct download hoga.SONG DIRECT DOWNLOAD CODE FOR PHP WEBSITE FORCE DOWNLOAD CODE
Mujhe Iske baare me kafi user’s ne comment kiya tha ki website me direct download code kaise lagaye. To aaj main apke liye direct song download code laker aaya hun. Is code ka name Force download code for htaccess.
To Start karte hai ki code apko apni website me kahan lagana hai.
Sabse pahele apko apni website ka Cpanel Open karna hai. Cpanel open karne par apko file manager par click karna hai.
File Manager ke under apko Public_html folder ko open karna hai. Uske under ek file hoga .htaccess name se.
Apko .htaccess file ko edit karna hai ye file sabhi website me hota hai.
File Edit karne ke baad apko is file me force download code paste karna hoga. Ye code apko kisi file me mil jata hai. Agar apke paas ye code nahi hai to yahan se copy kar sakte hain.
addType application/force-download mp4
Code copy karne ke baad apni website ke htaccess file me paste kar digiye. Jaisa ki is image me apko dikhaya gaya hai.
File ko save kar digiye. Ab apni website ko open karke kisi song download karke dakhen song direct download hoga.
To ye hai ye hai aaj ka hamara post. I hope apko ye achhe se samazh me aa gaya hoga. Agar apko or koi question hai to mujhe comment me kar sakte hain.
0 comments: